Thursday, July 31, 2025

𝐏𝐘𝐀𝐀𝐑 𝐊𝐘𝐀 𝐇𝐀𝐈 ?

𝐏𝐘𝐀𝐀𝐑 𝐊𝐘𝐀 𝐇𝐀𝐈 ?

 



Is duniya mein har insaan ke liye pyaar ke mayine alag hain.

Kisi ke liye pyaar hai, 

Kisi  ke saath reh kar khushi milna.

Kisi ke liye pyaar hai, 

Kisi ke bina na reh pana,


Kisi ke liye pyaar hai, 

Din raat unse baat karna,

Aur unki gair maujudgi me unhein yaad karna,

To kisi ke liye parwah karna.



Par actually mein ye sab pyaar hai hi naihi.

Agar aapko kisi ko dekh kar “Wooow” wali feeling aati hai,

To wo sirf aur sirf aapki pasand hai,

Agar koi khubsoorat hai to aap ko pasand aa raha hai,

Naihi hai to aap dhyan bhi naihi doge.


Kisi ki khubsoorti se jab pyaar hota hai to wo pyaar naihi sirf attraction hota hai.

Aur attraction ek bahut hi zyada temporary feeling hoti hai,

Aap kisi se bhi attract ho sakte ho,

Infact har kisi se ho sakte ho,

Lekin pyaar har kisi se naihi kar sakte,

Pyaar wali feelings har kisi ke liye nahi kar sakte.


Actually mein aap pyaar karte naihi ho,

Aap ko pyaar karna naihi padta,

Aap ko pyaar ho jata hai,

Ye feelings aa jati hain.



Pyaar wo bhi naihi jab aap kisi ko zabardasti paane ki koshish karte ho ya usey chheenne ki koshish karte ho.


Wo aap ki selfishness hai,

Ki aap kisi ko bagair uski marzi ke kheech rahe ho.


To pyaar hai kya fir ?

Attraction? Attachment?

Nahi…


Pyaar wo hai jab aap kisi ke sath hote ho,

To aap khud ko pura mehsus karte ho…


Ekdum complete,

Aap ko aisa lagta hi naihi hai jaise ye shaqs koi dusra hai.

Usme ap khud ki chhavi dekhte ho,

You see your reflection in that person.


Love is the purest feeling in the world.

Pyaar ka koi matlab naihi,

Uski koi bhi definition naihi,

Pyaar bematlab hai…


Pyaar hai wo jo aap sabse pehle khud se karte ho,

Aur jab aap kisi aur ke saath rehte ho to aapko ye naihi mehsus hota ki ye koi aur hai.

Aap ko lagta hai ki ye aap hi ho,

Aur aap apne us hissey ko ussey bhi zyada chahne lagte ho.


Pyaar ka matlab ye naihi ki ab mujhe isi ke saath rehna hai,

Pyaar ka matlab ye hai ki ye shaqs aaj hai,

Jaha hai, jaise hai, bas khush hai aur khush rahe,

Rehna na rehna sab kismat ka khel hai.


Pyaar hota hai tab jab aap unki dil se izzat karte hain,

Wo jaise hain waise unko accept karte hain…


Aap unhein support karte hain,

Aur agar support naihi bhi kar rahe hain to bhi unhe upar jate dekh aap unse bhi zyada khush hote hain…


Temporary feelings ko pyaar ka naam de kar,

Hum aaj usey itna baadnaam kar chuke hain,

Ki humein darr lagne laga hai pyaar lavz se bhi…



Aur kahi na kahi sach ye bhi hai ki,

Hum khud ko kitna hi track pe rakhne ki koshish karein,

Samne wala kayi baar kaafi nasamajh nikal jata hai.


Jo khel jata hai humare jazbato se apne fayede ke liye,

Ya kayi baar koi kismat mai hi naihi hota,

Aur humein darr lagne lagta hai pyaar karne se dobara…


Par…

Zindagi yahi hai,

Log aate hain temporary,

Aur kuch na kuch sikha ke chale jaate hain,

Koi achhi yaadein de jaate hain,

To koi behad buri…


Zaruri ye hai ki aap apni raah mat bhatko,

Tumhara maqsad jo hai tum usey pura kora,

Jo khwaishein hain unhe pura karo,

Jo goals hain unhe achieve karo.


Thoda logo ko parakhna seekho,

Thoda unke jazbaato ko samajhna seekho.

Humsafar to sabhi ko mil hi jata hai.


Chalo…

Ye saal khatm hone mein ab kuch hi mahine baaki hain,

Tum negative naihi,

Positive notes par hi is saal ko khatam karna,

Aur naye saal ki suruwat muskura kar karna…





𝐏𝐘𝐀𝐀𝐑 𝐊𝐘𝐀 𝐇𝐀𝐈 ?

𝐏𝐘𝐀𝐀𝐑 𝐊𝐘𝐀 𝐇𝐀𝐈 ?   Is duniya mein har insaan ke liye pyaar ke mayine alag hain. Kisi ke liye pyaar hai,  Kisi  ke saath reh kar kh...